Wednesday, September 7, 2011

rishtey



logon ke mizaaz badal jaate hain
logon ke andaaz badal jaate hain
aur hum samajh nahi paate


rishton ke naam wahi rehte hain
par shakal badal jaati hai
aur hum samajh nahi paate


andar hi andar sawaal hain
par jawaab dhoondhne ki himmat kyun nahi?
hum samajh nahi paate


itne waqt baad, rishton mein sawaal hi kyun?
rishton ki naazukta ka khayaal hi kyun?
hum samajh nahi paate


mukhaute pehanne ki aisi aadat ho gayi hai
ki haqeeqat aakhir kya hai
hum samajh nahi paate