Monday, August 4, 2014

ek hawa ka aisa jhonka aaya
woh ziddi ped bhi lehlahaya

pehli baar hawa se baatein karne ko
uska mann bhi lalchaaya

na jhuki kabhi jiski ek bhi daali
woh jhukne se khud ko rok na paaya

likhi nahi gayi yeh prem kahaani
kyunki is prem ko sansaar samajh na paaya

(written when I heard the story of Hanuman and Benjakayi from the Thai version of the Ramayana, where Hanuman falls in love with and pursues the demon princess Benjakayi, a story which came as a pleasant surprise after I had spent all my life hearing about a celibate Hanuman in the Indian versions of the Ramayana)