Thursday, September 15, 2011

baarish

Aandhi toofaan, uff yeh moosladhaar baarish
Kadi dhoop ki bhi nahi hai hamein khwahish
Bas suhana mausam ho
halki halki boondein girein
khidki se baahar jhaankne ki jagah
hum baahar ghoome phirein
Kyun ho gaya yeh mausam khafa
koi isko manao oh ek dafa

Thursday, September 8, 2011

hazaaron meel duur baithkar bhi hum sochte hain
ki hum desh ki dasha ko samajhte hain
lekin lagta hai hum sirf
behas mein ulajhte hain
behas un muddon pe
jo hum samachaar mein sunte hain
aur hamaare vichaar woh
jo hum bas khayaalon mein bunte hain
asliyat kya hai
kya hum jaante hain?
bas shabdon ke aadaan pradaan se kuchh nahi hoga
kya hum yeh maante hain?

lokpal

desh ke neta saansad min lade
aam log raam lila maidaan mein rahe ade
baar baar wahi baatein sun ke
kaan hamaare pak gaye hain
sarkaar ke faisle ka hum
intezaar kar kar ke thak gaye hain
.....
abhi mili khabar ki
sarkaar  baat maan gayi
lagta hai aam aadmi ki
taakat ko pehchaan gayi
ab aage pata chalega ki
sarkaar ka vaada sachcha hai ya jhootha
abhi shukra hai
anna ji ka ann shann toh toota

chalo hum bhi roz ke kaamo mein
waapas lag jaayein
bas ummeed hai desh ke
neta ab toh jag jaayein

Wednesday, September 7, 2011

rishtey



logon ke mizaaz badal jaate hain
logon ke andaaz badal jaate hain
aur hum samajh nahi paate


rishton ke naam wahi rehte hain
par shakal badal jaati hai
aur hum samajh nahi paate


andar hi andar sawaal hain
par jawaab dhoondhne ki himmat kyun nahi?
hum samajh nahi paate


itne waqt baad, rishton mein sawaal hi kyun?
rishton ki naazukta ka khayaal hi kyun?
hum samajh nahi paate


mukhaute pehanne ki aisi aadat ho gayi hai
ki haqeeqat aakhir kya hai
hum samajh nahi paate